naye ghar ka nirmaan
ghar jab apna banne lagta
sab kuch lagta pyara sa
uchee uchee ashyo ka
lagta ek kinara sa
soch rahe he hum bethe kee
kaise kam karyege
saari mansha poori karke
sunder mahal baneyge
dawat ka phir nyota dekar
havan kund sjayege
agnee dev kee pooja hogi
ayge bahut jajman
kathenayee badtee he gayee
jaise-jaise beete din
yeh tuta or wo tuta
lagi kahi deemak aur ghuun
kabhee palumber
kabhee mistree
kabhee mehree kee baree he
paise unko dete jayo
yeh to ek beemari he
mehmanoo ka tanta lamba
kahan kahan se ate he
bina baat ke
jeevan ko we
ast wyst kar jate he
dr kiran bala
शनिवार, 29 अगस्त 2009
सदस्यता लें
टिप्पणियाँ भेजें (Atom)
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें